Jai Bharati Vande Bharati






।। जय भारती, वंदे भारती ।। सर पे हिमालय का छत्र है चरणों में नदियाँ एकत्र है हाथों में वेदों के पत्र हैं ऐऽऽऽ देश नही ऐसा अन्यत्र है।। धुऐं से पावन ये व्योम हैं घर-घर में होता जहाँ होम हैं पुलकित हमारे रोम-रोम हैं आदि-अनादि शब्द ओम है।। जिस भूमि पे जन्म लिया राम नें गीता सुनाई जहाँ श्याम नें पावन बनाया चारों धाम नें स्वर्ग भी लजाये जिसके सामने।।










Lata ji's message in her own words on the occasion of the 64th Independence Day on 15th August 2012


AFTER READING ALL THE POSTS ON THIS PAGE CLICK "Older posts" at the end of the page to view other pages.

"Namaskar. Aaj hamare mahaan desh ka 64th Swatantrata Diwas hai; jiski main aap sab ko bahut, bahut badhaai deti hoon. Hamara desh aur samaaj ek bahut hi vikat aur vichitra daur se guzar raha hai; par mujhe asha hai ki janata avashya kuchh karegi aur hamare desh mein ek sundar aur swasth samaaj ka nirmaan hoga; toh, main aapke saath mera ek gaaya hua rashtriya bhavna ka geet share karti hoon, jise Shri Bharat Vyas ne likha hai aur Shri Avinash Vyas ne compose kiya hai. Yeh gaana originally 'Adi Sankaracharya' film ke liye banaya tha, aur mujhe yeh gaana itna pasand aaya ki maine ise baad mein record kiya. Mujhe asha hai ki yeh aapko bhi pasand aayega."




Friday, December 30, 2011

Master Dinanath Mangeshkar Natyageet 12-30

Lataji's message


"Namaskar. Aaj mere parampujya pita aur Guru, Master Deenanath Mangeshkar ka 111th janamdiwas hai. Hum sab bhai-behen unhe bahut yaad karte hai; aur pranaam aur vandan karte hai. Baba, humein aaj yeh sab jo mila hai, woh aap ke charanon ki dhool se mila hai. Aaj main apne twitter pariwar ko mere Baba ka ek marathi natyageet pesh karti hoon jo raag tilak kamod mein hai"