Jai Bharati Vande Bharati






।। जय भारती, वंदे भारती ।। सर पे हिमालय का छत्र है चरणों में नदियाँ एकत्र है हाथों में वेदों के पत्र हैं ऐऽऽऽ देश नही ऐसा अन्यत्र है।। धुऐं से पावन ये व्योम हैं घर-घर में होता जहाँ होम हैं पुलकित हमारे रोम-रोम हैं आदि-अनादि शब्द ओम है।। जिस भूमि पे जन्म लिया राम नें गीता सुनाई जहाँ श्याम नें पावन बनाया चारों धाम नें स्वर्ग भी लजाये जिसके सामने।।










Lata ji's message in her own words on the occasion of the 64th Independence Day on 15th August 2012


AFTER READING ALL THE POSTS ON THIS PAGE CLICK "Older posts" at the end of the page to view other pages.

"Namaskar. Aaj hamare mahaan desh ka 64th Swatantrata Diwas hai; jiski main aap sab ko bahut, bahut badhaai deti hoon. Hamara desh aur samaaj ek bahut hi vikat aur vichitra daur se guzar raha hai; par mujhe asha hai ki janata avashya kuchh karegi aur hamare desh mein ek sundar aur swasth samaaj ka nirmaan hoga; toh, main aapke saath mera ek gaaya hua rashtriya bhavna ka geet share karti hoon, jise Shri Bharat Vyas ne likha hai aur Shri Avinash Vyas ne compose kiya hai. Yeh gaana originally 'Adi Sankaracharya' film ke liye banaya tha, aur mujhe yeh gaana itna pasand aaya ki maine ise baad mein record kiya. Mujhe asha hai ki yeh aapko bhi pasand aayega."




Friday, September 16, 2011

Lat ji with Hridaynath classical at Hyderabad










Hridaynath Mangeshkar rendering Meera Bhajan Ud Ja Re Kaga 03-27


Lata ji with R.D Burman 09-17

Lata ji's Tribute to Pancham (R.D. Burman) 27th June 2011


Namaskar,aaj mujhe 13/14 saal ka ek chota ladka yaad aaraha hai jo,khaki shorts aur white shirt pehene hue mera autograph lene s.d.burman sahab ki recording me mere paas aaya tha,burman dada ne mere pass aake mujhe kaha ki ye mera beta pancham ,ye abhi sarod sikh raha hai,us din main peheli baar pancham se mili,


uske kuch saalo'n baad mujhe bada aashcharya hua ki mehemood sahab ne mujhe kaha ki pancham music kar raha hai unki film ka aur mera gaana record karna chahte hain us film ke liye.film ka naam tha chote nawaab aur mera gaana tha ghar aaja ghir aayi. main jab rehearsal karne gayi gaane ki,tab gana sunke mujhe bahot accha laga ki itna chota ladka itnaa accha music kar raha hai,maine wo gaana gaaya aur uske baad wo silsila chalta raha..maine uske music me kai kamal ke gane gaaye,


wo bahot choti umar me is duniya se chala gaya iska mujhe bahot dukh hai,uske jaane ke baad maine uska kuch na kaho ye aakhari gaana record kiya...pancham sach me ek bahot mahan sangeetkar tha,aaj uske janamdin par main itna hi keheti hu ki pancham tum hum sab ke dilo'n me hamesha rahoge......... aaj main aap sab ke liye mera pancham ke music me gaya hua pehela song ghar aaja ye song.




Aur aakhri gana film 1942 A Love Sory





Ya Chimanyanno 09-17

Srinivaas Khale  Shaddhanjali 09-03



Srinivas



Lata ji's first duet with Kishore Kumar 08-04

On the occasion of Kishore da's birthday,Lata ji has shared this beautiful song video, her first song with Kishore da.The song was recorded in 1948 for the Devanand-Kamini Kaushal starrer film. Ziddi.







Lata ji's message.

.Namaskar,aaj kishoreda ka janamdin hai,meri kishoreda ki mulaqat 1948 mein hui. Aur kishore da aur mera pehela duet ziddi film ke liye record hua. Ismein khemchand prakashji ka sangeet tha. Mere khayal se ye kishore da ki as a playback singer first film thi jismein unka jag mag jag mag karta nikla chand ye solo song tha jo us waqt bahot hit hua tha. Kishoreda ek bahot kamal ke singer to the hi par song writer.music director,film director,actor,producer,story writer ye sab guun bhi unme kamal ke the magar phir bhi wo bahot namra aur atyant aam insan ki tarha rehete the.Hum sab ko wo jab bhi recording mein aate the,bahot hasaate the,aaj unki bahot yaad aarahi hai.

Jai Bharati Vande Bharati Lata ji 08-16





Lata ji's message in her own words


Namaskar. Aaj hamare mahaan desh ka 64th Swatantrata Diwas hai; jiski main aap sab ko bahut, bahut badhaai deti hoon. Hamara desh aur samaaj ek bahut hi vikat aur vichitra daur se guzar raha hai; par mujhe asha hai ki janata avashya kuchh karegi aur hamare desh mein ek sundar aur swasth samaaj ka nirmaan hoga; toh, main aapke saath mera ek gaaya hua rashtriya bhavna ka geet share karti hoon, jise Shri Bharat Vyas ne likha hai aur Shri Avinash Vyas ne compose kiya hai. Yeh gaana originally 'Adi Sankaracharya' film ke liye banaya tha, aur mujhe yeh gaana itna pasand aaya ki maine ise baad mein record kiya. Mujhe asha hai ki yeh aapko bhi pasand aayega.